People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Tera Kaha Maine Kiya
Singer: Asha Bhosle
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaam-Memsaab/Tera-Kaha-Maine-Kiya/Hx48UzFnfHc
Video:
tera kaha maine kiya ab na kiya jaye re haye
tera kaha maine kiya ab na kiya jaye re haye
dekho mujhme raha kya jhoka koi hawa ka
leke mujhe ud hi na jaye tera kaha maine kiya
ab na kiya jaye re haye tera kaha maine kiya
ab na kiya jaye re haye dekho mujhme raha kya
jhoka koi hawa ka leke mujhe ud hi na jaye

itna kaso na ye bandhan ke bandhan ye tut jaye
panchi se khelo na aise ke hatho se chut jaye
sun ke meri bate kyu bekarar hai
sunle dilbar sunle ye shikwa hai pyar ka
kaahe mere dil ko jalaye tera kaha maine kiya
ab na kiya jaye re haye dekho mujhme raha kya
jhoka koi hawa ka leke mujhe ud hi na jaye

kuch hone wala ho aise tadapti hai damini
mausam ne chedi ho jaise toofano ki ragini
aur aise mausam me tujhse kya kahu ye haye
choti si nayya bhi toofano se khel jaye
jiya tera bhi dagmagaye tera kaha maine kiya
ab na kiya jaye re haye dekho mujhme raha kya
jhoka koi hawa ka leke mujhe ud hi na jaye
Tum Bhi Meri Jaan
Singer: Asha Bhosle
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaam-Memsaab/Tum-Bhi-Meri-Jaan/Fy0ZXBt0cXE
Video:
tum bhi meri jan tum bhi meri jan
tum bhi meri jan tum bhi meri jan
ho thoda thoda dil sabpe kurban
thoda thoda dil sabpe kurban
haye mai mar jau
tumpe tut ke bikhar jau
tum bhi meri jan tum bhi meri jan

tum hasin ho or tum bhi dilruba
kisi se kam nahi jhuth bat ye nahi
tumhare pyar ki kasam nahi
tum bhi ho jawa rat bhi jawa
thoda thoda dil tumpe kurban
tum bhi meri jan tum bhi meri jan

pahle janti thi ke mai
ek hi ke dil ka pyar hu
aaj ye pata chala ke
mai kayi gale ka har hu
bat jayegi meri muskan
thoda thoda dil tumpe kurban
tum bhi meri jan tum bhi meri jan
ho thoda thoda dil sabpe kurban
thoda thoda dil sabpe kurban
haye mai mar jau
tumpe tut ke bikhar jau
tum bhi meri jan tum bhi meri jan
Jaanewale Sunta Ja
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaam-Memsaab/Janewale-Sunta-Ja-Hamari-Kahani/SRENfA5gbmU
Video:
ho yahi tarana kabhi yahi fasana
aisa tarana pyare suna nahi hoga kahi
janewale janewala sunta ja hamari kahani
janewala sunta ja hamari kahani

yahi tarana kabhi yahi fasana
aisa taran pyare suna nahi hoga kahi
janewala sunta ja hamari kahani
janewala sunta ja hamari kahani

ho janewale meri kahani shayad tera bhi afsana ho
dil hi tera bahal jayega sun kar jana jidhar jana ho
hotho pe hai rag jigar me lagi aag aisa diwane pyare
aisa tarana pyare suna nahi hoga kahi
janewala sunta ja hamari kahani
janewala sunta ja hamari kahani

ho hogi teri meharbani jo hasrat nikal jaye hamari
jaise tu hai khila khila sa rangat badal jaye hamari
chedenge jab saj ko hum badal ke andaz
aisa suhana shama pyare nahi dekha hoga kahi
janewale janewala sunta ja hamari kahani
janewala sunta ja hamari kahani

yahi tarana kabhi yahi fasana
aisa taran pyare suna nahi hoga kahi
janewala sunta ja hamari kahani
janewala sunta ja hamari kahani
Hum Bhi Rahon Mein Khade Hain-1
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaam-Memsaab/Ham-Bhi-Rahon-Men-Khade-Hain/GRoSXgdBb2k
Video:
salaam sahab, are salaam memsahab are jara idhar bhi najar phekiye

are boni to ho gayi, ae jiyo raja ae jiyo rani
o le lo le lo duwa kisi bekraar ki
hum bhi raaho mein khade hai yaar idhar dekhlo
hum bhi raaho mein khade hai yaar idhar dekhlo
jaaneman pyar se ek najar dekhlo
hum bhi raaho mein khade hai yaar idhar dekhlo
jaaneman pyar se ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein khade hai

hum dukho ke paale hai, ha magar dilwale hai
ek najar pe ruk jaaye, aise hum matwale hai
apne ho yaade gaane, hum to sabke diwane
har gali mein baaho ke haar humne daale hai
yu hi to hai galiya wo pyar ki
aanewalo aanewalo mere dil ka najar dekhlo
jaaneman pyar se ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein khade hai

dil ka sathi hai jab dil, kaisa rasta kya manjil
chal pado to rasta hai, thehar jao to manjil
rang ye baajaro ka rup ye dildaaro ka
jo najara dekho hai chum lene ke kabil
hawa khanewalo mere gulzar ki
kya ho thodasa kya ho thodasa hume bhi agar dekhlo
jaaneman pyar se ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein khade hai
hum to chahat se haare
Hum Bhi Rahon Mein Khade Hain
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Video:
hum bhi raaho mein khade hai idhar dekhlo
jaaneman pyarse ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein
o le lo le lo duwa kisi pyar ki
hum bhi raaho mein khade hai idhar dekhlo
jaaneman pyarse ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein

hum to chaahat ke maare, kya kare dil se haare
aas milne ki lekar, phirte hai maare maare
har gali dekha tumko, har nagar dhundha tumko
jaake tum kis duniya mein kho gaye saajan pyare
o chhoti si lagi ghadi intzar ki, suna kabse dil ka najar dekhlo
jaaneman pyarse ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein

hum nahi bhule tumko, tum bhula baithe humko
bewafa phir bhi kahte kaise apne baalam ko
dil ko tadapanewale laut aa jaanewale
ab talak thokar khayi, leke hum tere gam ko
koi sunta nahi ye bekrar ki, dil hai ghayal to hai tukde jidhar dekhlo
jaaneman pyarse ek najar dekhlo
o le lo le lo duwa kisi pyar ki
hum bhi raaho mein khade hai idhar dekhlo
jaaneman pyarse ek najar dekhlo, hum bhi raaho mein
Na Sharab Se Kabhi
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaam-Memsaab/Na-Sharab-Se-Koi-Vaasta/XV4EBEZZdlI
Video:
na sharab se kabhi wasta na tha silsila koi jam se
ye teri najar ka kamal hai ke laga diya hame kaam se
na sharab se kabhi wasta na tha silsila koi jam se
ye teri najar ka kamal hai ke laga diya hame kaam se

mauj aayi machal pade bahe dal ke chal pade
mauj aayi machal pade bahe dal ke chal pade
kaam hai kya khabar nahi bekhabar hi nikal pade
sawere tak ho na jane kya kyu ye hal hai subah sham se
ye teri najar ka kamal hai ke laga diya hame kam se

dekhi jabse ada teri sujhe hai hari hari dekhi jabse ada teri
sujhe hai hari hari lagta hai nashe me yu har gali hai gali teri
diye jayenge tujhe hum sada hai garaz hame tere nam se
ye teri najar ka kamal hai ke laga diya hame kaam se
na sharab se kabhi wasta na tha silsila koi jam se
ye teri najar ka kamal hai ke laga diya hame kaam se